kal ka launda gentleman
ban than ke gaya college
padai saari thap hui
baap ne bhari fees
thodi moti thodi patli
kitabein usse na sambhali
nazre unse kuch yun milin
dil ki halat bigdi
sharmate muskurate ek din pahucha woh paas
keh hi di ik saans mein apne dil ki aas
thokar mili patthar mile padi kuch gaaliyan
ek baar do baar kayi baar farma liya
par jigar ki pyaas dono tarfi thi janaab
woh uski yeh unka donon ke hi the yeh khwaab
kuch samay ke baad aayi woh haseen raat
jab unhone kabooli pyaar ki baat
mahina do mahina rishta aage bada
woh nayi mulakaatein woh ankahi baatein
woh haseen vadiyaon mein zindagi bitayi
saath zeene marni ki sau kasmein khaayi
woh ghar se nikalna aur unse milna
2 ghante ka intezaar bhi meetha lagna
kuch nhi tha par sab tha uske paas
ishq mein uski duniya ho gayi thi khaas
aaye kayi toofan hui kayi ladai
dil ki khaatir har taklif udhayi
bas ik saath nibhaane ki thi tamanna
chahe fir angaaron se kyun na ho chalna
nafratein badi, toote dil
kuch zeena sa ho gaya mushkil
woh aaj bhi saath nibhaana chahta tha
pyaar ko fir jagana chahta tha
roya gidgidaaya, girta fir sambhalta raha
aag aisi thi unki, sholon pe chalta raha
woh 5 saal pyaar ke ab unhe chhubne lage the
poori duniya mein sabse ghatiya humhi unhe lagne lage the
itni zillat ke baad bhi socha ik akhri baar
aise nahi jaane dunga apna sachha pyaar
woh subah ki chai woh raat ka khaana
katne laga tha ab saara zamaana
socha ki ab khatam ho jaayen
fir bhi dil unhe hi chaahe
bachi na thi ab jaan
koi de de unhe ab yeh paigaam
marne par bhi unhe hi chaahenge
ik baar keh diya to janmon tak nibhaayenge
le aaye koi mera purana samay
khelta tha jab apni maa ki chaawon mein
mujhe maaf kar do baba maa
main aapse bhi baht pyaar karta raha
maut aayi thi darwaaze
kisi ka intezaar karta raha
khushhaal zindagi ka toot gaya tha sab plan
banne gaya tha launda gentleman